Jeene ki chah me, marna hi bhul gaya
Kya jeena ,kya marna
Sab bhul gaya
Judai bhi aisi ki
Din ko rat, aur rat ko din samjh baitha
Aisa jeevan ke ulajhan me uljha ki
Jee rha tha ,lekin samjh na paya
Mai to ghut ghut ke mar rha tha
Nadiya, jharne sab khil khila rhe the
Kheto me sarso ke phool
Jhoom rahe the
Bahar her taraf thi
Wo sawnan ka mahina tha
Man me umange thi
Sapno ki duniya me khoya tha
Mai bhi masti me jhoom rha tha
Lekin ek hawa ka jhonka aaya
Neend khuli to dekha
Mai to ro rha tha
Jeene ki chah me
Ghut ghut ke mar rha tha........
..........Ravi Tiwari........
👍
ReplyDelete