wo suraj ki lali, wo savere ka tazgi
na mathe pe shikan
na chehre pe tanav
chay ki chuski, maa ka pyar
wo bhi kya din the
ab ye bhi kya din hai
na to chain hai, na wo pyar hai
ghoom ke dekha jor se
andhera hi najar aaya
subah tha phir bhi andhera
din ho gaya,sham bhi huyi
andhera hi andhera
khota jata hu in andhere me
chidiyo ka chahchana bhi daravana lagta hai
dil me huk si uthti hai
isko dekha, usko deka,sabko dekha
parvat pe, pedo pe,
jharokhe se, aaina me
dur tak won ajar na aaye
ab to dekhne ki aadat si ho gayi hai
aane wale ka intezzar hai
log bharosa dilate hai,intezar karo
dil baitha jar ha hai
kab tak karu, kab tak karu intezaar
kya wo din the
kya ye din hai
wo pyar hi pyar tha
ab intezzar hi intezzar hai........
............By Ravi Tiwari.......
Whi to asali din the...
ReplyDelete